tu jahan mein chaar-din mehman hai is ke aage aur hi saman hai aadmi ek khak ka putla hai bas jism mein rangat hai jab tak jaan hai kala-gora uncha-nicha jo bhi ho aadmi wo hai ki jo insan hai gar jahannum ki haqiqat jaan lo rah jannat ki bahut aasan hai kuchh tere aamal hi achchhe na the apni barbaadi pe kyun hairan hai kuchh nahin sare-jahan ki daulaten aadmi ke dil mein gar iman hai