badha kar aankh ke tinke ko bhi shahtir karte hain chalo achchha hai kuchh to wo meri tashhir karte hain jo uljhe hain unhen wo aur bhi gambhir karte hain masail hal nahin karte hain bas taqrir karte hain siwa mayusiyon ke kuchh unhen hasil nahin hota mitane ki hamein jo raat-din tadbir karte hain hamare kaun se ye kaam aaegi batao to tumhaare nam aao dil ki hum jagir karte hain nazar mein raqs karte hain bahut se gum-shuda manzar tumhaara nam jab kaghaz pe hum tahrir karte hain meri aankhon mein hi zauq-e-talab ki kuchh kami hogi wagarna jalwa dikhlane mein kyon takhir karte hain chalo sahil pe chal kar dekhte hain dastan-e-gham suna hai dubne wale bhi kuchh tahrir karte hain jinhen pas-e-wafa mukhtar az-had ras aata hai wahi aiwan-e-ulfat khun se tamir karte hain