soz-e-darun se raaz-e-mohabbat ayan na ho dil shama ban ke jal uthe lekin dhuan na ho hasil sukun-e-dil na ho taskin-e-jaan na ho jab tak gham-e-hayat gham-e-jawedan na ho ye kya kaha ki aatish-e-gul ka dhuan na ho barq-e-tapan se puchh mera aashiyan na ho duniya ki mahfilon mein ho zikr-e-ajal zarur afsana-e-hayat kisi ka bayan na ho karte hain kyon salam ye dair-o-haram mujhe meri jabin mein jazb tera aastan na ho ye ishtihaar kar diye chaspan qadam qadam manzil ki samt koi rawan karwan na ho main phir gaya hun apne hi dil se khuda kare meri tarah jahan mein koi bad-guman na ho achchha yahi bata mujhe ai fitrat-e-chaman kanton ke pas phul kahan ho kahan na ho roti hai roe jalti hai shab bhar jala kare lekin zaban-e-shama meri ham-zaban na ho le chal wahan jahan mujhe ai be-khudi-e-shauq is aalam-e-wajud ka wahm-o-guman na ho rang-e-bahaar bazm-e-sukhan par nisar hai dekho kahin wo 'ahsan'-e-rangin-bayan na ho