badha ye shak ki ghairon ki tan mein aag lagi hum aae kya ki teri anjuman mein aag lagi zara jo us ne hatai naqab chehre se giri wo barq ki sab anjuman mein aag lagi barabar aaj khabar ashk-e-garm late hain ghazab ki qasr-e-dil-e-pur-mehan mein aag lagi ye tera wahshi-e-atish-nafas jahan pahuncha pahad jal ke hue khak ban mein aag lagi jala raha hai ye kah kah ke dam-ba-dam sayyaad tujhe khabar bhi hai bulbul chaman mein aag lagi kamal-e-husn ki garmi se mujh ko hairat hai ki aaj tak na mere pairahan mein aag lagi jab aah-e-garm chali dil se sath daude ashk hua yaqin ki kaam-o-dahan mein aag lagi chahaar samt se le le ke pani abr aaya khile jo phul to jaana chaman mein aag lagi jahan padhe gae ashaar tere garma-garm 'rashid' mahfil-e-ahl-e-sukhan mein aag lagi