hans de to khile kaliyan gulshan mein bahaar aae wo zulf jo lahraen mausam mein nikhaar aae mil jae koi sathi har gham ko suna dalen bechain mera dil hai pal bhar ko qarar aae madhosh hua dil kyun bechain hai kyun aankhen hun dur mai-khane se phir kyun ai khumar aae khil jaengi ye kaliyan mahbub ke aamad se jis rah se wo guzre gulshan mein bahaar aae jin jin pe inayat hai jin jin se mohabbat hai un chahne walo mein mera bhi shumar aae phulon ko sajaya hai palkon ko bichhaya hai ai baad-e-saba kah de ab jaane bahaar aae bulbul mein chahak tum se phulon mein mahak tum se rukhsar pe kaliyon ke tum se hi nikhaar aae