badhata hi gaya raftar koi magar aage raha har bar koi kahani kyon tumhein apni lagi thi agar tum sa na tha kirdar koi kabira ki tarah le kar lakathi kabhi aata sar-e-bazar koi na jaane kyon mere khwabon mein aksar achanak girti hai diwar koi wo apne aap se aise mila tha mila ho jaise pahli bar koi akele jang thi duniya se meri mujhe karta raha tayyar koi shifa-khana hui jati hai duniya jahan dekho wahin bimar koi