badhaya hath magar kuchh sila na hath aaya kaf-e-tahi ke safar mein gaya na hath aaya girah mein kholta kaise khirad-asiron ki ki dor uljhi hui thi sira na hath aaya ye rasm khub chali hai mere zamane mein ki hath lag gaya achchha bura na hath aaya lo hathon hath luta hai bahaar ka khirman khizan to khush hui jaise khazana hath aaya main us ke samne khamosh kya raha ki use khitab karne ka sab se bahana hath aaya sarab deta hamein kya hawas ke sahra mein siwae musht-e-ghubar-e-hawa na hath aaya majal hai ye kisi ki koi bashar ye kahe khuda khuda bhi kiya aur khuda na hath aaya