soz-e-gham se jigar jal raha hai magar mera dard-e-nihan aashkara nahin ghut ke marna gawara hai ai chaara-gar raaz-e-ulfat ayan ho gawara nahin shama jalti rahi raat dhalti rahi nabz-e-bimar ruk ruk ke chalti rahi aa ke dam bhar ke mehman ko ab dekh lo is ke bachne ka koi sahaara nahin bach ke tufan ki zad se kahan jaega ab kahan tak talatum se takraega is safine ko ab dub jaane bhi do jis ki qismat mein koi kinara nahin hai chaman to wahi wo nasheman kahan chand tinkon ki khatir chalen aandhiyan ab wo jhonke nahin ab wo tufan nahin ab wo shoale nahin wo sharara nahin khar-o-gul mein hai baham ye paikar kya ye jafa-o-wafa mein hai takrar kya dil ki bazi mein hai jit kya haar kya husn jita nahin ishq haara nahin jis se bazm-e-wafa mein charaghan na ho dil ki viran basti gulistan na ho ye tabassum to koi tabassum nahin ye ishaara to koi ishaara nahin dil se bigdi khirad se khafa ho gaya din-o-duniya se na-ashna ho gaya baithe baithe 'wafa' ko ye kya ho gaya ab tumhaara karam bhi gawara nahin