baDhenge aur bhi yun silsile hijabon ke

badhenge aur bhi yun silsile hijabon ke
kar apni baat hawale na de kitabon ke

main shahr-e-gul ka musafir mare sharik-e-safar
saubaton ki ye raaten ye din azabon ke

teri nazar se ibarat the tere sath gae
wo phul mere khayalon ke rang khwabon ke

tamam umr phir ek karb ki chita mein jale
hum ek pal jo ruke shahar mein gulabon ke

hataya rang ka pauda to zakhm zakhm tha phul
chaman chaman the wahi silsile sarabon ke

abhi wo habs hai 'khawar' ki dam ulajhta hai
abhi khule rakho darwaze apne khwabon ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close