kabhi zamin kabhi aasman mein tairta hun tilism-e-nur ke ek ek nishan mein tairta hun ba-rang-e-saz kabhi barbaton se phutta hun kabhi ba-shakl-e-sada armughan mein tairta hun kabhi main dhalta hun kaghaz pe naqsh ki surat main lafz ban ke kisi ki zaban mein tairta hun kabhi kabhi to mujhe bhi khabar nahin hoti ki kis maqam pe kis kis jahan mein tairta hun mere safar mein koi ajnabi sa rahta hai muhit sher ke jab imtihan mein tairta hun