badhi jo had se to sare tilism tod gai wo khush-dili jo dilon ko dilon se jod gai abad ki rah pe be-khwab dhadkanon ki dhamak jo so gae unhen bujhte jagon mein chhod gai ye zindagi ki lagan hai ki rat-jagon ki tarang jo jagte the unhi ko ye dhun jhinjhod gai wo ek tis jise tera nam yaad raha kabhi kabhi to mere dil ka sath chhod gai ruka ruka tere lab par ajab sukhan tha koi teri nigah bhi jise na-tamam chhod gai faraaz-e-dil se utarti hui nadi 'amjad' jahan jahan tha hasin wadiyon ka mod gai