ek muddat se dard kam kam hai jaane kis baat ka mujhe gham hai jaane kyun dil ko be-qarari hai jaane kyun aaj aankh pur-nam hai wusat-e-tishnagi hai be-payan aur pine ko sirf shabnam hai teri aankhon ko chum lun lekin kya karun dil ka hausla kam hai husn ki mumlikat bahut mahdud ishq ke sath ek aalam hai sath hun tere ai gham-e-dauran zulf-e-jaanan agarche barham hai