badhne de abhi kashmakash-e-tar-e-nafas aur ai gosh-bar-awaz zara der taras aur hum mail-e-parwaz rahe jitni lagan se uthti hi gai utni hi diwar-e-qafas aur ye aatish-e-shauq aur ye do-chaar phuwaren ai abr-e-siyah-mast zara khul ke baras aur ek qafila-e-zist bichhad jae to kya gham aati hai bahut dur se aawaz-e-jaras aur farda mein bahaaron ke nishan dhundne walo kya hoga zamane ka chalan ab ke baras aur hum ne jo 'tamannai' bayaban-e-talab mein ek umr guzari hai to do-chaar baras aur