dar-e-faqir pe jo aae wo dua le jae dawa-e-dard koi dard-e-la-dawa le jae visal-e-yar ki ab sirf ek surat hai hamari khak uda kar wahan hawa le jae to jaan jae mera dukh jo tere pahlu se koi bhi aae tere dost ko utha le jae kisi jazira-e-nadida ki talab thi hamein ab is pe hai ki jahan hum ko nakhuda le jae zamana-saz hai 'fartash' us ke kya kahne ki khud hi qatl kare aur khun-baha le jae