badi latif badi khush-gawar guzri hai wo zindagi jo sar-e-ku-e-yar guzri hai halak-e-gardish-e-lail-o-nahaar guzri hai tamam umr badi be-qarar guzri hai maqam aisa bhi aaya hai ishq mein ki jahan nafas ki aamad-o-shud dil pe bar guzri hai nigahen farsh-e-rah-e-dost aur dil betab ajib tarah shab-e-intizar guzri hai junun ka koi talluq nahin chaman se magar dilon ke zakhm saja kar bahaar guzri hai nazakat-e-gham-e-jaanan ki intiha mat puchh shikayat-e-gham-e-dauran bhi bar guzri hai hamari zist ka hasil na puchh ai 'bismil' asir-e-gardish-e-lail-o-nahaar guzri hai