naghma-e-dil ka naya andaz hona chahiye sara aalam gosh-bar-awaz hona chahiye husn ko husn-e-sarapa naz hona chahiye aam jalwon se bahut mumtaz hona chahiye ek hi manzar se ukta jaenge ahl-e-nazar zindagi ko inqalab-andaz hona chahiye chashm-e-nazzara-talab ye be-hisi achchhi nahin imtiyaz-e-jalwa-gah-e-naz hona chahiye naghma-e-kaif-afrin bhi ruh ka paigham bhi saz mein sab kuchh hai lekin saz hona chahiye kis ko jurat hai ki thukra de qafas walon ki baat han magar hum sab ko ek aawaz hona chahiye waqt aane par qafas ko le ude gulshan ki samt 'bismil' aisa jazba-e-parwaz hona chahiye