baDi latif kashish thi hasin panah mein tha

badi latif kashish thi hasin panah mein tha
khuli jo aankh to main apni khwab-gah mein tha

hadis-e-ahd-e-masarrat meri nigah mein thi
ki ek paikar-e-raana dil-e-tabah mein tha

tula hua tha kabhi jaan lene dene par
ajib rang-e-wafa us ke intibah mein tha

har ek samt thi us ki nigah patthar ki
wo sang-dil barahna jo shahrah mein tha

meri hayat hi qatil sahi magar 'mutrib'
bade sukun se main apni qatl-gah mein tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close