koi ho sakta bhi tha hamil nawa-e-raaz ka

koi ho sakta bhi tha hamil nawa-e-raaz ka
aakhir ek ek tar tuta zindagi ke saz ka

muntazir hai ek jahan husn-e-karishma-saz ka
ab utha bhi dijiye parda harim-e-naz ka

zikr mujh se kyon hai sur-e-hashr ki aawaz ka
ye to ek bigda hua naghma hai mere saz ka

uf re ye husn-e-tamasha dost ka shauq-e-numud
kar diya kun kah ke parda fash harf-e-raaz ka

dil hi dil mein ro ke misl-e-shama hum chup rah gae
kya asar mahfil pe hota saz-e-be-awaz ka

ho agar sachchi tadap mitti mein bhi padti hai jaan
dil hai kyon talib masih-o-khizr ke eajaz ka

subh hote hote aakhir wo bhi uthwai gai
raazdan juz shama tha kaun us harim-e-naz ka

rakh li un nau-khez kaliyon hi ne kuchh jalwon ki sharm
warna kya hashr is chaman mein ho tumhaare raaz ka

wada-e-jannat ka 'muslim' kis liye khaen fareb
hai nigahon mein tasawwur ek bahaar-e-naz ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close