badle badle mere gham-khwar nazar aate hain marhale ishq ke dushwar nazar aate hain kashti-e-ghairat-e-ehsas salamat yarab aaj tufan ke aasar nazar aate hain inqalab aaya na jaane ye chaman mein kaisa ghuncha-o-gul mujhe talwar nazar aate hain jin ki aankhon se chhalakta tha kabhi rang-e-khulus in dinon mail-e-takrar nazar aate hain jo suna karte the hans hans ke kabhi nama-e-shauq ab meri shakl se bezar nazar aate hain un ke aage jo jhuki rahti hain nazren apni is liye hum hi khata-war nazar aate hain dushman-e-khu-e-wafa rasm-e-mohabbat ke harif wahi kya aur bhi do-chaar nazar aate hain jins-e-nayab-e-mohabbat ki khuda khair kare bul-hawas us ke kharidar nazar aate hain waqt ke pujne wale hain pujari un ke koi matlab ho to gham-khwar nazar aate hain jaeza dil ka agar lo to wafa se khali shakl dekho to namak-khwar nazar aate hain roz-e-raushan mein agar un ko dikhao tare wo ye kah denge ki sarkar nazar aate hain hum na badle the na badle hain na badlenge 'shakil' ek hi rang mein har bar nazar aate hain