bahaar aai kisi ka samna karne ka waqt aaya sambhal ai dil ki izhaar-e-wafa karne ka waqt aaya unhen aamada-e-mehr-o-wafa karne ka waqt aaya badi muddat mein arz-e-muddaa karne ka waqt aaya rawan hain apne markaz ki taraf aasuda ummiden hujum-e-yas ko dil se juda karne ka waqt aaya phir ek gum-karda-rah-e-zindagi ko mil gai manzil sujud-e-shukr-e-be-payan ada karne ka waqt aaya kabhi duri thi lekin ab khayal-e-khauf-e-duri hai fughan ki saaten guzrin dua karne ka waqt aaya kahan tak khatm rahta darmiyan par dil ka afsana bil-akhir darmiyan se ibtida karne ka waqt aaya har ek jurm-e-mohabbat us nigah-e-lutf ke sadqe nawed-e-afiyat le kar khata karne ka waqt aaya nigah o dil se ab tafsir-o-sharh-e-azru hogi zaban o lab se tark-e-iltija karne ka waqt aaya wo aate hain 'shakil' ab apne dil se hath dho baitho nigah-e-naz ki qimat ada karne ka waqt aaya