badle na gae hum se to haalat abhi tak karte hi rahe log sawalat abhi tak ek hum ki kahin aashiyan tamir na kar pae wo mahw ba-tamir-e-mahallat abhi tak ek bar hi duniya se zara dil jo lagaya daman se hain lipti hui aafat abhi tak karti rahin insan ko insan se bad-zan tahzib-e-nau ye teri khurafat abhi tak milta hi nahin koi hamein puchhne wala sine mein daba rakkhe hain jazbaat abhi tak dil tut sa jata hai tadap jata hun us dam yaad aate hain rah rah ke wo lamhat abhi tak ek hum hi 'amin' waqt ka paigham na samjhe mumkin hai badal jate ye haalat abhi tak