hamdamo lutf-e-shabana ho chuka aish-o-ishrat ka zamana ho chuka ab gham-o-shadi se aazadi mili ranj-o-rahat ka zamana ho chuka najd mein aawara kyon phirta hai qais mahmil-e-laila rawana ho chuka manzil-e-dil mein thin kya kya hasraten qafila ye bhi rawana ho chuka zindagi gham ki kahani rah gai aish ka rangin fasana ho chuka ho gai viran wo bazm-e-mai-kada daur-e-saghar ka zamana ho chuka ab nahin bazm-e-chaman rangin-nawa andalibon ka tarana ho chuka mutrib-e-ayyam ne badla hai thath shauq ka chang-o-chaghana ho chuka mauj-e-muztar ko hua aakhir qarar shor-e-tufan ka zamana ho chuka 'nazir' ab zauq-e-nazar be-kar hai manzar-e-hasti purana ho chuka