badli hui hai charkh ki raftar aaj-kal ho band rast-goi ka bazar aaj-kal ilm-o-hunar hai mulk ko darkar aaj-kal hum khud bhale-bure ke hain mukhtar aaj-kal hai aur hi tariqa-e-bazar aaj-kal jins-e-nafis ke hain kharidar aaj-kal ghaflat ka daur mulk se shayad guzar gaya makhluq hoti jati hai bedar aaj-kal gul-guna-e-taraqqi-e-tahzib-o-alam se shukr-e-khuda ki surkh hain rukhsar aaj-kal kyun jaante hain sanat-o-hirfat ko bagh-e-khuld ghairon ki hum nigah mein hain khar aaj-kal raushan hai apni be-hunari aaftab se hai subh ke qarib shab-e-tar aaj-kal bigdi hui hai mai-kada-e-dahr ki hawa ho jaen shaikh-ji bhi na mai-khwar aaj-kal kya kaam in safed chudailon ka hind mein kyun aisi shadiyon ki hai bhar-mar aaj-kal har chiz ki girani ne viran kar diya sarf-e-khizan hai hind ka gulzar aaj-kal is bagh mein hai baad-e-khizan o baad-e-qaht har gul ke dil mein hai khalish-e-khar aaj-kal bhule hain apne farz ko ye khwajgan-e-hind haq dene mein bhi karte hain inkar aaj-kal shukr-e-khuda ki zulm se mazur hai falak bartaniya hai khalq ki gham-khwar aaj-kal yarab hamare dil ko tu apni panah de dildar ho gae hain dil-azar aaj-kal makhsus ho chuki hain iradi ghulamiyan hai ek anar saikdon bimar aaj-kal ek ek kar ke jitne hunar the wo chhin gae hum zindagi se kyun na hon bezar aaj-kal ek jurm aur fard-e-jaraem mein badh gaya yani na dard-e-dil ka ho izhaar aaj-kal jine ki fikr kijiye aur pet ka khayal mauquf kije ishq ka aazar aaj-kal pabandiyan bhi chahiyen insan ko zarur aazadiyon ki kyun hai ye bhar-mar aaj-kal milta nahin kahin dahan-e-yar hai anaj faqon se jism hai kamar-e-yar aaj-kal hai tang-dastiyon ke sabab zoaf is qadar sab ki hain aankhen nargis-e-bimar aaj-kal lakhon muhaal aqli o aadi sahi magar kasb-e-maash sab se hai dushwar aaj-kal kya kije tar niwalon ka mausam nahin raha chipke hue hain yar ke rukhsar aaj-kal faqon se hai ye haal agar tol kar bithaen aadhe ticket mein jae tan-e-zar aaj-kal gul kar diya charagh-e-maishat tu ai hawa meada ke bhi na ghis gae kyun khar aaj-kal chaaron taraf buland hai fariyaad hae hae matam-kada hai qahqah-e-diwar aaj-kal daulat jab aaegi ki wahi chiz hum banaen jo chiz chahte hon kharidar aaj-kal behtar hai kar-khanon se ho mulk ka bhala ugalen gade khazanon ko zardar aaj-kal sanat ka nam ganj hai hirfat ka nam zar ilm-e-shikam hai mulk ko darkar aaj-kal 'parwin' ki ye dua hai rahe amn mulk mein rabb-e-ghafur tu hi hai gham-khwar aaj-kal