ek infial ko taqat samajh rahe ho tum sawal ye hai ki kis tarah sochte ho tum bahaar aag na degi tumhaare chulhon ko ye aur baat ki is se bahal gae ho tum dayar-e-waham-o-guman mein na ab haram hai na dair ujdi chuki hai wo basti jidhar chale ho tum diya na ishq ne jab kuchh to aql kya degi ab is se mangte ho chain bawle ho tum jabin-e-shauq ko apni kahan jhukana tha kahan jhuki hai zarurat kahan jhuke ho tum pasand aaegi kyun apne des ki koi chiz bidesiyon ke niwale pe ji rahe ho tum na mil saka jise indhan jalegi aag wo kya dil-e-'jamil' ko nahaq kuredte ho tum