badnami-e-ulfat ko ye aar na samjhega

badnami-e-ulfat ko ye aar na samjhega
is dil ko na samjhao zinhaar na samjhega

bimar hua hun main ek ishwa-e-pinhan se
isa bhi mere dil ko aazar na samjhega

hirs us lab-e-shirin ki kya dil se mere kam ho
parhez kabhu achchha bimar na samjhega

ghaflat ko jawani ki kuchh puchho na ai zahid
be-hoshi ki lazzat ko hushiyar na samjhega

go rah-e-mohabbat mein jati hain chali jaanen
mard-e-rah-e-ishq is ko dushwar na samjhega

mujh se hai use milna ek nang ka bais hai
aghyar ke milne ko wo aar na samjhega

samjhane do naseh ko mat mana karo yaro
jab tak na sunega wo do-chaar na samjhega

haal-e-dil-e-khun-gashta 'nami' ne lahu ro ro
name mein kiya insha par yar na samjhega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close