bhule kab lazzat asiri ki chaman ko dekh kar

bhule kab lazzat asiri ki chaman ko dekh kar
yaad aati hai hamein ghurbat watan ko dekh kar

haq-ba-jaanib hai hamare to ki aaine mein wo
bosa le leta hai aap apne dahan ko dekh kar

sunghne wale tumhaari zulf-e-ambar-fam ke
hote hain chin-bar-jabin mushk-e-khutan ko dekh kar

ji mein hai ab be-sutun mein ja ke roun khub main
naqsh-e-shirin-o-mazar-e-kohkan ko dekh kar

wo sahi baala jo gul yaad aa gaya gul-gasht mein
lag gai hichki mujhe sarw-e-chaman ko dekh kar

mat kiya kar aashiqon ki khak ko yun paemal
rasm-e-ishq uth jaegi tere chalan ko dekh kar

tira-rozi yan talak to hai par ab khati hai rashk
sham-e-ghurbat hai meri subh-e-watan ko dekh kar

gul gareban chaak karte hain chaman mein rashk se
bar mein shabnam ke tumhaare pairahan ko dekh kar

qasd karta hun ham-aghoshi ka lekin roz-e-wasl
ji nikal jata hai us nazuk badan ko dekh kar

chahchahe karne gae sab bhul ab khamosh hain
murgh-e-gulshan mere andaz-e-sukhan ko dekh kar

us se milne ko to 'nami' mana hum karte nahin
dijiyo lekin dil us paiman-shikan ko dekh kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close