badr zahir ruKH se hai aasar-e-marg

'badr' zahir rukh se hai aasar-e-marg
ishq ka aazar hai aazar-e-marg

band ho kar dida-e-ibrat khule
samjhe baad-e-marg hum asrar-e-marg

dahriye munkir khuda ke hon to hon
kar nahin sakte magar inkar-e-marg

kya bache umr-e-gurezan bhag kar
tez-tar hai barq se raftar-e-marg

naza mein hun jald kar do khatma
lo nigah-e-naz se tum kar-e-marg

hijr ki dushwariyan sahl us ne ki
marg meri yar hai main yar-e-marg

marne wale parda-poshi karne hain
chhupte hain lekin kahin aasar-e-marg

sab barabar hain jawan-o-tifl-o-pir
la-ubaali hai magar sarkar-e-marg

rahzan ka naqd-e-jaan ko dar nahin
hai ajab hisn-e-hasin diwar-e-marg

khushk lab pathrain aankhen rang zard
'badr' chhupte hain kahin aasar-e-marg


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close