kab tak ai shoKH jafa-pesha-e-gulfam nahin

kab tak ai shokh jafa-pesha-e-gulfam nahin
din nahin raat nahin subh nahin sham nahin

bhulta yaad jo teri dil-e-nakaam nahin
mujh ko turbat mein pas-e-marg bhi aaram nahin

barq ki tarah tadapne ke siwa kaam nahin
dil-e-betab ko mere kabhi aaram nahin

bais-e-josh-e-junun zulf-e-siyah-fam nahin
wahshat-angez badakhshan ki magar sham nahin

nikhat-e-gul ki tarah aashiq-e-warasta mizaj
basta-e-silsila-e-gardish-e-ayyam nahin

khidmaten lete ho kyon ghair se har subh-o-masa
aap ke kaam ka kya aashiq-e-nakaam nahin

hath se silsila-e-josh-e-junun chhut gaya
sar ko jis din se sar-e-zulf-e-siyah-fam nahin

shikwa-e-pir-e-mughan sun ke jo yun pi jae
aisa be-khud to koi rind-e-mai-asham nahin

ghair se bigde hain ghusse mein bhare baithe hain
arz-e-haal-e-dil-e-muztar ka ye hangam nahin

khun lene se ye sauda kahin kam hota hai
pukhta-maghzon ka junun chaaragaro kham nahin

hai lab-e-baam wo khurshid-laqa jalwa-farosh
did ka izn magar hae ghazab aam nahin

bulbul-e-zamzama-sanj-e-dil-e-ashiq ko hai dam
rukh pe bikhri hui wo zulf-e-siyah-fam nahin

hai parastish but-e-pindar ki har subh-o-masa
aap bhi shaikh ji kya banda-e-asnam nahin

gardish-e-qismat-e-na-saz ka shikwa hai mujhe
mujh ko hargiz gila-e-gardish-e-ayyam nahin

jis qadar chahe kare gor ka wo aaj shikar
gor se bhag ke bach jaega bahram nahin

gor hi gor ki bhi rah dikhaega tujhe
kya khabar is ki tujhe pahle se bahram nahin

shab-e-hijran ki nahin hoti hai jis tarah sahar
roz-e-furqat ki bhi ai 'badr' kabhi sham nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close