bagh-e-alam mein hai be-rang bayan-e-waiz surat-e-barg-e-khizani hai zaban-e-waiz misr mein bhi na ye firaun ka aalam hoga dekhe masjid mein koi shauqat-o-shan-e-waiz ek kanta sa nikal jae hamare dil se sansiyon se koi khinche jo zaban-e-waiz qulqul-e-shisha-e-mai se tere mai-kash saqi sun rahe hain khabar-e-raaz-e-nihan-e-waiz haal malum hua nar-o-jinan ka kyunkar is qadar to nahin uncha hai makan-e-waiz nam-e-mai wo hai ki lab par jo kabhi aata hai munh se bahar nikal aati hai zaban-e-waiz mai-kade walon se dabne lage masjid wale daur saqi ka hai guzra wo zaman-e-waiz main bhi wo hun jo mere aage kabhi munh khole kat dalun abhi danton se zaban-e-waiz apne rindon ki main hu-haq ka hun sunne wala ya-ilahi na sunana sukhnan-e-waiz main pari-zadon ka aashiq hun to wo huron ka mere saude se hai badh kar khafqan-e-waiz pae khum baith ke nashshe mein wo baaten kije log samjhen sar-e-mimbar hai bayan-e-waiz ai 'saba' khuld mein jaun ki jahannam mein jalun na suna hai na sununga main bayan-e-waiz