din dhal chuka tha aur parinda safar mein tha sara lahu badan ka rawan musht-e-par mein tha jate kahan ki raat ki banhen thin mushtail chhupte kahan ki sara jahan apne ghar mein tha had-e-ufuq pe sham thi kheme mein muntazir aansu ka ek pahad sa hail nazar mein tha lo wo bhi khushk ret ke tile mein dhal gaya kal tak jo ek koh-e-giran rahguzar mein tha utra tha wahshi chidiyon ka lashkar zamin par phir ek bhi sabz pat na sare nagar mein tha pagal si ek sada kisi ujde makan mein thi khidki mein ek charagh bhari-dopahar mein tha us ka badan tha khauf ki hiddat se shoala-wash suraj ka ek gulab sa tasht-e-sahar mein tha