bagh-e-bahisht ke makin kahte hain marhaba mujhe phenk ke farsh-e-khak par bhul gaya khuda mujhe main tera banda hun magar tere jahan ka raazdar tu hai mera khuda magar to nahin jaanta mujhe sochta hun sunaun kya ahd-e-sitam ki dastan kahta hun khair chhodiye yaad nahin raha mujhe tha kisi sae ka khayal thi kisi gul ki justuju dasht ki samt chal diya dekh ke rasta mujhe roz naya maqam hai roz nai umang hai teri talash kya karun apna nahin pata mujhe rang tha main to kyun zamin mujh se hui na lala-zar khak tha main to kis liye le na udi hawa mujhe lamha-ba-lamha dam-ba-dam chalta raha qadam qadam dubte chand ka safar kitna aziz tha mujhe garche meri chamak se band chashm-e-sitara-o-falak nur hun phir bhi nur ka rang nahin mila mujhe aankh utha ke meri samt ahl-e-nazar na dekh pae aankh na ho to kis qadar sahl hai dekhna mujhe