naqd-e-jaan ki mere saughat abhi baqi hai shab-e-hijran ki mudaraat abhi baqi hai dhup mein tark-e-marasim ki jhulasne wale aakhiri sham-e-mulaqat abhi baqi hai khaliq-e-kaun-o-makan hum se nahin hai naraaz gardish-e-arz-o-samawat abhi baqi hai waqt ki dhup mein khoe mere nashshe kitne ek teri chashm-e-kharabaat abhi baqi hai roz-e-awwal se ajal khel rahi hai shatranj mujh ko shah ho bhi chuki mat abhi baqi hai chandni par hai tumhein rang-e-sahar ka dhoka gul na kar dena diye raat abhi baqi hai har ghazal ki mujhe takmil pe mahsus hua dil mein kahne ko koi baat abhi baqi hai