bagh ek din ka hai so raat nahin aane ki wo pari phir se mere hat nahin aane ki ab wo ladki nahin aane ki mere college mein ab ke multan se saughat nahin aane ki tum chali jao ye patthar nahin pahle jaisa aankh se ju-e-munajat nahin aane ki ab jo ye wasl hai is wasl ko be-kar samajh hum pe rangini-e-haalat nahin aane ki dekh lo khol ke khidki ki zara der hain hum dusri bar ye baraat nahin aane ki ab tere baad faqat aab hi utrega yahan ab ke barsat mein barsat nahin aane ki