na-saza aalam-e-imkan mein saza lagta hai na-rawa bhi kisi mauqe pe rawa lagta hai yun to gulshan mein hain sab muddai-e-yak-rangi bawajud is ke har ek rang juda lagta hai kabhi dushman to kabhi dost kabhi kuchh bhi nahin mujhe khud bhi nahin malum wo kya lagta hai is ki baaton mein hain andaz ghalat samton ke ho na ho ye to koi rah-numa lagta hai na hata is ko mere jism se ai jaan-e-hayat hath tera mere zakhmon ko dawa lagta hai dur se khud meri surat mujhe lagti hai bhali jaane kyun pas se har shakhs bura lagta hai rokta hun to ye rukta hi nahin hai 'ejaz' mujhe har roz-o-shab-e-waqt hawa lagta hai