bagh mein aamad-e-bahaar hai aaj chashm-e-nargis ko intizar hai aaj pa-ba-zanjir mauj aise kahun bagh mein sarw-e-ju-e-bar hai aaj aaega kya koi sanobar-qad qumriyon ka magar shikar hai aaj nighat-e-gul hui hai muzhda-rasan baad ke ghode par sawar hai aaj wasf kis ka kiya tha bulbul ne gul jo us ke gale ka haar hai aaj sang-barsar-zanan ye kis ke liye kaho gulshan mein aabshaar hai aaj khanda-e-gul ko dekh kar bulbul hama-tan nala-ha-e-zar hai aaj kaha baad-e-saba ne ai nadan sina-e-dushmanan figar hai aaj shah-e-duldul-sawar aata hai ta falak nur ka ghubar hai aaj kaha main ne ki ye sukhan tera muzhda-e-jaan be-qarar hai aaj habbaza marhaba sharab-e-tahur saqiya rukhsat-e-khumar hai aaj fart-e-shauq-e-jamal-e-yar ke hath daman-e-sabr tar-tar hai aaj aaiye ai 'zamir' matlab par yan se manzur ikhtisar hai aaj