ek aise chaara-gar se bhi rishta raha mera

ek aise chaara-gar se bhi rishta raha mera
jitna tha zakhm utna hi gahra raha mera

main kya akela chhanta teri gali ki khak
wo dard tha jo hath batata raha mera

wo ped kat ke ek imarat mein lag gaya
sae mein jis ke karwan thahra raha mera

ab ke hawaen ghar se mere chhat bhi le gain
mausam naya mazaq udata raha mera

'kashif' kal ek lash sar-e-rah dekh kar
mujh se zamir aankh churaata raha mera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close