bagh mein jab ki wo dil khun-kun-e-har-gul pahunche bilbilati hui gulzar mein bulbul pahunche sadma-e-sham-e-ajal mujh ko na bilkul pahunche gar meri dad ko kal tak bhi wo kakul pahunche dil bhi le kar alam-e-ah muqabil pahuncha neza-bazan-e-mizha jab ba-taghaful pahunche mehr kucha tera jhade hai ba-jarub-e-shua ki isi tarah baham tujh se tawassul pahunche apna ye munh to na tha aap talak hum pahunchen aap ka jab ki hua hum pe tafazzul pahunche ham-rah-e-yas-o-alam dasht-e-junun mein kal hum ba-tahammul ba-tammul ba-tajammul pahunche gar tere wazn pe main sare qawafi bandhun dam tera nak mein ai bab-e-tafawwul pahunche khana-abaad tumhaara ho ki hum hazrat-e-ishq nafa ko tum se ba-ayyam-e-tawakkul pahunche dard-o-gham yas-o-alam soz-e-dil o dagh-e-jigar tohfe jo aap ne bheje hamein bilkul pahunche jab gaya husn to aaya tere ikhlas ka bar ab taraqqi hai tab ayyam-e-tanazzul pahunche qahr ek rind pe qul pir-e-mughan ne tha padha sher ye hum ne suna sunne ko jab qul pahunche tars-e-uqba hai to mai-khana mein rah ai zahid tab bacho wan jo baja kan mein qulqul pahunche rashk-e-gul bagh mein baitha tha to hum bhi 'ehsan' ye ghazal padhte hue wan ba-tajahul pahunche