tujh ko aghraaz-e-jahan se mawara samjha tha main paikar-e-ikhlas taswir-e-wafa samjha tha main jab liya nam-e-khuda kashti kinare lag gai jaane kis kis bul-hawas ko nakhuda samjha tha main tha kisi zalim ka apna muddaa-e-zindagi jis ko apni zindagi ka muddaa samjha tha main tha kisi gum-karda-e-manzil ka naqsh-e-be-sabaat jis ko mir-e-karwan ka naqsh-e-pa samjha tha mein intiha-e-yas mein ab kya kahun? kis se kahun? ibtida-e-shauq mein kis kis ko kya samjha tha main aa gaya jab aa gaya un ko khayal-e-iltifat apne shauq-e-dil ko 'bazmi' na-rasa samjha tha main