bagh mein phulon ko raund aai sawari aap ki kis qadar mamnun hai baad-e-bahaari aap ki bewafai aap ki ghaflat-shiari aap ki mere dil ne aadaten sikhi hain sari aap ki hai yaqin baham gale milne ko utthen dast-e-shauq ho agar taswir bhi yakja hamari aap ki mai-kade mein tute jate hain baham lad lad ke jam mufsida-pardaz hai chashm-e-khumari aap ki jazb ise kahte hain aae kahne meri qabr tak ab yahan se badh nahin sakti sawari aap ki karti hain andher hathon ki ye kali mailiyan qatil-e-alam hui hai sogwari aap ki ja-ba-ja hote hain daman-gir dil ushshaq ke har qadam par aaj rukti hai sawari aap ki yaad-e-ayyame ki tha zoron pe jazb-e-husn-o-ishq wo mere dil ka tadapna be-qarari aap ki hai shab-e-mahtab gore rang se kapde siyah husn ko chamka rahi hai sogwari aap ki do tarah ke ek saghar mein labaalab hai sharab khwab-aluda nahin chashm-e-khumari aap ki mere lashe ko liye phirte hain un rahon mein log jin gali-kuchon mein phirti thi sawari aap ki aaj kis par rahm aaya kis ko roe hain huzur hai nasib-e-dushmanan aawaz bhaari aap ki ahd mein majnun ke laila ka raha kya daur daur ab 'tashshuq' ke zamane mein hai bari aap ki