bagh-o-bustan hue viran ki ji jaanta hai sar-e-duniya hai wo tufan ki ji jaanta hai aur kya us ke siwa hasil rudad-e-jahan khak-o-khun dast-o-gareban ki ji jaanta hai roz-e-mahshar to na tha sham-e-mulaqat thi wo yun hue be-sar-o-saman ki ji jaanta hai mah-timsal tha ya khanjar-e-uryan koi yun hai paiwast-e-rag-e-jaan ki ji jaanta hai dard hota to sar-e-sham sambhal bhi jata dil hai wo lashkar-e-arman ki ji jaanta hai be-sukuni ki talab hai nasha-e-qulzum-e-jaan aab hai tishna-e-haijaan ki ji jaanta hai tai kahan hoti hai rah-e-safar-e-na-malum gham hai yun dida-e-hairan ki ji jaanta hai