bagh patjhad mein bayaban bhi ho jata hai dil jo aabaad hai viran bhi ho jata hai raat kyon khauf ke sae mein guzari jae wo jo hona ho kisi aan bhi ho jata hai ibn-e-adam hai ise jaanch parakh le pahle ye jo darwesh hai sultan bhi ho jata hai is qadar ranj meri jaan khasare pe na kar faede mein kabhi nuqsan bhi ho jata hai dil wo rasta hai jahan rahti hai raunaq din bhar sham hoti hai to sunsan bhi ho jata hai