bahut hasin the tum aur bahut jawan the hum ek iztirab-e-musalsal ki dastan the hum ab is jagah pe hain kuchh aur chahne wale wo ek bagh ka gosha ki kal jahan the hum hamari aankhon se zulmat ka dil larazta tha tulua-e-mahr-e-munawwar ke raaz-dan the hum hamare hathon se ab tak mahak si aati hai ye kal ki baat hai phulon ke darmiyan the hum machalti rahti thi dil mein udan ki khwahish khud apne sar pe khayalon ka aasman the hum bikhar gae to bhatakte hue musafir hain wo jin ruton mein chale the to karwan the hum