bagh sara to bayaban na hua tha so hua jo khizan ka kabhi ehsan na hua tha so hua hum to bedar hue khwab se apne lekin wo bhi khwabon mein pareshan na hua tha so hua hum bhi kuchh soch ke kar baithe bil-akhir shikwa wo bhi pahle to pasheman na hua tha so hua mishalen sar ki sajai gain tasht-e-zar mein kab se maqtal mein charaghan na hua tha so hua safar-e-jaan ki hui ab kahin ja kar takmil yani main be-sar-o-saman na hua tha so hua dekhte dekhte aa pahuncha saron tak pani ab tak andaza-e-tufan na hua tha so hua dosto main jo talluq tha wo baqi na raha dushmanon mein koi paiman na hua tha so hua aur kya mujh ko sila milta khulus-e-dil ka hadaf-e-tohmat-e-yaran na hua tha so hua dasht mein abr to barsa wo do ek bund sahi pahle itna bhi to imkan na hua tha so hua 'mohsin' achchha hi hua us ne ulat di jo naqab rang us ka jo numayan na hua tha so hua