meri taraf teri uthti nigah thodi hai tere gurez mein ab ishtibah thodi hai charagh jalte rahenge hawa baghaur ye sun hunar pe tujh ko abhi dastgah thodi hai hai ek ishq se aamez raste ka safar zara si dur ba-tarz-e-nibah thodi hai jaza-saza se kahin mawara hai mera amal ye kar-e-ishq musalsal gunah thodi hai koi makin nahin kar sake sukunat-e-khas hamara dil abhi aisa tabah thodi hai hawaen aur shajar aur tairan-e-khayal ek aasman hamara gawah thodi hai ab us ke baad safar parak-e-tahayyur hai bata raha hun tumhein intibah thodi hai