baghair dil ki ye qimat hai sare aalam ki kaso se kaam nahin rakhti jins aadam ki koi ho mahram shokhi tera to mein puchhun ki bazm-e-aish jahan kya samajh ke barham ki hamein to bagh ki taklif se muaf rakho ki sair-o-gasht nahin rasm ahl-e-matam ki tanik to lutf se kuchh kah ki jaan-ba-lab hun main rahi hai baat meri jaan ab koi dam ki guzarne ko to kaj-o-wakaj apni guzre hai jafa jo un ne bahut ki to kuchh wafa kam ki ghire hain dard-o-alam mein firaq ke aise ki subh-e-id bhi yan sham hai mahram ki qafas mein 'mir' nahin josh dagh sine par hawas nikali hai hum ne bhi gul ke mausam ki