meri nigah kahan did-e-husn-e-yar kahan ho e'tibar to phir tab-e-intizar kahan dilon mein farq hua jab to chah pyar kahan chaman chaman hi nahin aaegi bahaar kahan jise ye kah ke wo hans den ki qissa achchha hai wo raaz khul ke bhi hota hai aashkar kahan umang thi ye jawani ki ya koi aandhi mila ke khak mein hum ko gai bahaar kahan umid-war banane se muddaa kya tha jab aas tum ne dila di to ab qarar kahan mili hai is liye do-chaar din ki aazadi ki sarf karta hai dekhen ye ikhtiyar kahan ye shauq le ke chala hai chaman se shakl-e-nasim ki dekhen milti hai jati hui bahaar kahan hai ek shart wafa ki wo qaid-e-be-zanjir sab ikhtiyar hain aur kuchh bhi ikhtiyar kahan mite nishan pe nazar kar ke ro jise chahe tere sitam ki hai turbat mera mazar kahan tum aisa ahd-shikan 'arzu' sa na-ummid kaho jo sach bhi to aata hai e'tibar kahan