baghair naqd-e-wafa zindagi ki qimat kya agar khulus nahin hai to phir mohabbat kya zaban pe pyar ki baaten hain dil mein kuchh bhi nahin agar yahi hai mohabbat to phir mohabbat kya bas ek nigah-e-nawazish hi teri kafi hai kuchh aur mangne ki ab hamein zarurat kya khulus hoga to phir baat asar karegi zarur jo zindagi na badal de to phir nasihat kya ye sab karam hi karam hai karam ke jalwe hain jo tu na chahe to hum kya hamari shohrat kya kuchh aap apni kahen aur kuchh hamari sunen janab itne takalluf ki ab zarurat kya mila hai zar to gharibon ke kaam bhi aao na jis se khidmat-e-makhluq ho wo daulat kya hum apne daur ki hain jins-e-be-baha logo laga sakega zamana hamari qimat kya koi nahin kisi girte ko thamne wala isi ka nam hai is daur mein ukhuwwat kya jo ek lamhe mein duniya hi chhod de 'shakir' us aadmi ki jo sach puchhiye to qimat kya