baghair KHubi-o-KHidmat bashar achchhe nahin lagte

baghair khubi-o-khidmat bashar achchhe nahin lagte
na jin mein phul phal hon wo shajar achchhe nahin lagte

safar ka lutf ghar ke baam-o-dar achchhe nahin lagte
wo jis din se gae sham-o-sahar achchhe nahin lagte

wafa ke raste mein to sitam sahna hi padte hain
tere shikwe dil-e-diwana gar achchhe nahin lagte

dilon mein pyar chehre par shagufta-pan na ho jin ke
mujhe wo sahiban-e-rahguzar achchhe nahin lagte

khuda rakkhe mohabbat ne naya jadu jagaya hai
unhen ab meri aankhon mein guhar achchhe nahin lagte

wo jin ko sun ke ek muddat se tas se mas nahin hote
mujhe wo nala-ha-e-be-asar achchhe nahin lagte

rah-e-gham par akela chhod kar wo jab se bichhde hain
mujhe us din se khurshid-o-qamar achchhe nahin lagte

jinhen duniya se apna haal tak kahna nahin aata
haqiqat mein wo achchhe hon magar achchhe nahin lagte

khuda jaane meri qismat kahan se dhundh lai hai
kuchh aise ham-safar jo ham-safar achchhe nahin lagte

mujhe 'shakir' yaqin hota nahin ab un ke wadon ka
ab in farzi jahazon ke safar achchhe nahin lagte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close