baghair naqshe ke sare makan lagte hain ye jitne ghar hain qaza ki dukan lagte hain kabhi to sach kabhi bilkul guman lagte hain nafis log hain jadu-bayan lagte hain ye thekedar imarat ke ye zamin wale gire jo ghar to bahut be-zaban lagte hain main un mein aaj bhi bachpan talash karta hun main khush nahin hun jo bachche jawan lagte hain wo mera bhai nahin par wo koi war sahe meri bhi pith par nile nishan lagte hain qarib aaen to chhota sa qad nikalte hain ye log dur se kitne mahan lagte hain