aankhon mein meri phirti hai taswir kisi ki taswir mein hun meri hai taswir kisi ki but apne hi ko kahte hain sab ahl-e-tasawwuf taswir-e-butan hoti hai taswir kisi ki hai pesh-o-aqab dil ke mere aur chap-o-rast har lahza miyan phirti hai taswir kisi ki hasti hai kahin aur na basti hai kisi ki dekha to yahi hasti hai taswir kisi ki taswir meri mere musawwir ki hai 'mardan' har-dam ye sada deti hai taswir kisi ki